Bibi Syeda asws
Jo puchiye ke kya hai Syeda
Karam ki intiha hai Syeda
Hijabe kibriyaaee hai
Kisi ki kab rasaaee hai
Ke parda e khuda hai Syeda
Wo shamil e durood hai
Wo dakhil e durood hai
Wo manzil e durood hai
Wo qabil e durood hai
Wo hasil e durood hai
Wo hamil e durood hai
Ke murkaze kisa hai Syeda
Eya hai wo niha hai wo
Zama hai wo maka hai wo
Sada e kunfaqa hai wo
Jaha khuda waha hai wo
Zamee hai adami ki ma
Zameen ki bhi ma hai wo
Ke faaterus sama hai Syeda
Jo panjitan simatgaye
Tou ek zaat bangayee
Wo ek zaat phehlkar
Ye qaynat bangayee
Ye qaynat sujgayee
Har ek baat bangayee
Pata chala ke kya hai Syeda
Wo kaul hai maqala hai
Wo ma dinur risala hai
Ali ke humnivala hai
Ali ki humpeyala hai
Hussain ka havala hai
Hassan ko jisne pala hai
Wo paak Syeda hai Syeda
Inhi ke hai ye behrobar
Inhi ke hai ye khusko tar
Inhi ke hai shajar hajar
Inhi ke hai gulosamar
Karo kuch aur mukhtasar
Khuda tou wo nahi maghar
Khuda se kab juda hai Syeda
Risalate wilayate
imamate hidayate
Sharafate nijabate
taharate shahadate
Karamate sadaqate ibadate reyazate
Inhi ka tou sira hai Syeda
Wo jalwaae ghayab hai
Wo noor ki kitab hai
Khuda ka wo hijab hai
Khuda ka wo naqab hai
Ke juz nabi ujuz Ali
Kaha kisi ko taab hai
Khuda ka aaena hai Syeda
Meri sada sun e khuda
Dilo mai sab ke noor rakh
Ke sarwar o naveed ko
Munafiqat se door rakh
Ke safato se door rakh
Ke Haziro hazoor rakh
Hamara wasta hai Syeda