Imam e Zamana ajfj
Jo raha hai khuda ke parde mai
Usse aalam ko noor hona hai
jisne roka huwa hai mehshar ko
Aaj uska zahoor hona hai
Uss Kay Aasaar Baam Kaisay Houñ
Jo Tha Maa Kay Wajood Say Pehlaiy
Ambiya Bhee Nabi Na Ban Paaiy
Mairaiy Ghar Par Darood Say Pehlaiy
Mairi Qismat kay Ajj Ghar Mairaiy
Jalwa-e- KoHaiy Toor Hona Hai
Mairaiy Mahdi Say Phir Zamanaiy Mai
Mustafa Ka Zahoor Hona Haiy
Mairaiy Mahdi Ka Sar Tha Sajdaiy Mai
Kibriya Ka Wou Zain Lagta Tha
Mai Naiy Daikha Kay Apnaiy Sajdaiy Say
Hu Ba Hu Wou Hussain Lagta Tha
Aa Rahee Thee Sada Yay Khaliq Ki
Iss Ko Maira Ghuroor Hona Hai
Uss Ki Takhleeq Mai Nijasat Hai
Jiss Naiy Bhee Iss Say Door Hona Hai
Jiss ki Talwar kay Isharooñ Say
Qismat-e-Deen Bhee Sawarni Hai
Khoal Kar Haath Ibn-e-Maryam Naiy
Jiss Kay Peechaiy Namaz Perrhni Hai
Uss Kay Aanaiy Say Molvi Sahib
Tairaiy Maqsad Naiy Choor Hona Hai
Kayoun Kay Uss ki Namaz Kay Andar
Zikr-e-Haider Zaroor Hona Hai