Shazada Qasim asws
Kafan bana ke jo sehra sajaya Qasim ne
Sabar Hussain kaa (2)
yu azmaaya Qasim ne
Badan ke tukroun se daman hussain bhar ne lage
Jigar ko thaam ke Abbas aaha karne lage
Galle se mout ko (2)
Esse lagaya Qasim ne
Hinahee hathou mai talvar
Jis ghari aaee
Thai shaad khuld mai us dam hussain ke bhai
Pidar se istarah (2)
Vada nibhaya Qasim ne
Lahoo ki mehendi te khaqay shifa ka jora tha
Duae Syeda Bibi ka sur pe sehra ta
Ajal ka istara (2)
Goohngat utaya Qasim ne
Jo aik kanday pe utah
ye vo janaza tha
Simat ke jo bhi na simta yay vo janaza tha
Kafan hussain ke (2)
Daman ka paya Qasim ne