Kazim Utha Rahe Hain
Haye Hussain(AS) Keh Kar
Aanso Baha Rahe Hain.
Mansoor ne ghiza mai,
zehr-e-jafa diya tha
Mazloom ke badan par,
jiska asar huwa tha
Aflak se malaik,
purse ko aa rahe hein
Nikla Dehan Se Bahir
Haye Jigar Jo Kat Kar.
Khoon Rang Ho Gaya Tha
Mola(AS) Ka Mere Bistar.
Manzar Yeh Ahl-e-Dil Ke
Dil Ko Dukha Rahe Hain.
Taboot Ko Utha Kar
Jitne Qadam Barhaye.
Har Ik Qadam Pe Unko
Sajjad(AS) Yaad Aaye.
Abid(AS) Ki Mazloomi Ka
Noha Suna Rahe Hain.
Haider(AS) Se Dushmani Yeh
Ab Tak Nahi Ruki Hai.
Mola Hasan(AS) Se Le Kar
Jafar(AS) Tak Aa Gayi Hai.
Har Ik Chirag-e-Syeda(SA)
Zalim Bujha Rahe Hain.
Saadiq(AS) Ke Zehan Mein Bhi
Kazim(AS) Ka Hai Janaza.
Maiyyat Uthane Wala
Waris Koi Na Ho Ga.
Zair-e-Kafan Bhi Saadiq(AS)
Khoon Rote Ja Rahe Hain.
Aulad-e-Syeda(SA) Mein
Aisa Hai Yeh Janaza.
Jis Mein Madine Walay
Dene Ko Aaye Pursa.
Ahl-e-Madina Sare
Yeh Gham Mana Rahe Hain.
No items found.