Shazada Qasim asws
Khuda ne kehdiya qasme utha ke (jaha walo)
Ali yaad agaya Qasim banaake
Chuna maine isse noor e chaman se
Milaya jab haseen chehera Hassan se
Nabi bole ke hairaan kardiya hai
Khudaara doosra Akbar dikhaake
Ye jab Shabbir ke haatho pe aya
Haseen mairaaj ko bachpan mai paya
Kaha phir deen ne roshan huwa mai
Issi masoom se nazare wila ke
Yaqeen tahir ko hai yehi baqa hai
Ye bibi ke iraado ki ziya hai
Ali se daad Ghazi ne hai payi
Zamane mai isse larrna sikha ke