Kia poochtay ho mujh se ke
Jo kuch bhi hay Khuda ka wo sara Hasan ka hay
Ham kia hain keh raha hay ye khud deen e Mustafa
Mujh ko Ali ke baad bus sahara Hasan ka hay
Tabdeel kar kay jins Hasan ne bata diya
Kehtay hain jis ko kam wo ilaqa Hasan ka hay
Wajib samajh ke karta hoon may tab se lanatain
Jab se meri nazar may charaghan Hasan ka hay
Is khushkhati se chalti hay maidan e jang may
Lagta hay Zulfiqar pe saaya Hasan ka hay
Arzaq ki lash dekh ke boli ye foje Shaam
Allah ka ghazab hay ke beta Hasan ka hay
Kehnay ko dha diya usay aal e Saood may
Har dil may laikin aaj bhi roza Hasan ka hay
Allah se Ali ko mila hay wirasatan
Sochain agar to Khana e Kaaba Hasan ka hay
Kyunkar na do jahan may tu sarfaraz ho
Aey Meer ik gadagar tu to Hasan ka hay
No items found.