Category

Noha

Author

Shaam e Ghareebaan

Date

September 5, 2022

Kya raha khaimon may

Shaam e Ghareebaan

Kya raha khaimon may Sheh kay ek udasi reh gayi

Sirf Ronay ko Mohammed ki nawasi reh gayee

  

1. Saj gayee Qasim kay Tukroun say udhar Karb-o-bala

Maa idhar bete ki dulhan ko sajaati reh gayee


2. Cheenta tha Shimr chadar aur Bibi baar baar

Apni chadar kay muhafiz ko bulati reh gayee


3. Khoon-e-dil Abbas kaa sub beh gayaa run may magar

Dil main bus ek baat Bibi ki rida ki reh gayee


4. Aay Musalmano tumhari ghayratain kya ho gayeen

Tum tamashaayee thay Bibi mu chupati reh gayee


5. Qaid main Bali Masooma ko mila baba ka sar

Mu pay mu rakh kar joo sooyee maa jagati reh gayee


6. Maadar-e-Asgher na baithi saye main Asgher kay baad

Saayea main aayee to zinda laash baqi reh gayee


7. Har tamachay par Masooma mu pay rakh kar  nanhay haath

Neel rukhsaaron kay Ghazi ko dikaati reh gayee


8. Aa gayee Rehan o Sarwar Karbala say lout kar 

Aaj tak khushboo badan main Karbala ki reh gayee

No items found.