Shazada Ali Akbar asws
Laash Akbar ki jo maqtal se utha laae Hussain
nowjawan ko saffe awwal se utha laaye hussain
Chand ko sham ke baadal se utha laae Hussain
Ja balab shehr ko jangal se utha laae Hussain
di sada laashe pisar aan ke leja Bibi
chid gaya barchi se akbar ka kalaija Bibi
dekhle aakhri deedar pisar jaata hai
saamne aankhon ke ye noore nazar jaata hai
Ab koi dum mai tera rushq e kamar jaata hai
Mou se bahir hai zubaan tishna jigar jaata hai
dum hai seene may ruka zakhmon se khoon jaari hai
haaye bibi tere ghar lutne ki teyaari hai
pahunchi khaime may jo hazrat ki ye purdard sada
muztarab hogayi namoose rasoole dou sara
Kaha pukaar ke Masooma ne ke hy hy bheya
Amma daurri sooye dar phenk ke sar par se rida
peet-ti bibi e muztar nikal aayi bahir
Amma ghabra ke khule sar nikal aayi bahir
Shah ke kaande pe dekha Ali Akbar ko nidhaal
Hath pehlaa ke pukaari ke hy hy mere laal
Kya ghazab hogaya e baad shahe naik khisaal
Raas aya na mere bache ko attar va saal
Tukrre tegho se badan hogaya sara hy hy
Koun tha jis ne mere sher ko mara hy hy
Keh ke ye laash e pisar khaime mai laae sarwar
Haath Akbar ke sambhaale tha koi aur koi sar
Sheh ne farzand ko aahista litaya jaa kar
Gir ke pehlu mai tarrupne lagi maa khasta jigar
Kehti thi dil pe sina ghum ki lagaayee beta
Aanke khollo nahi jaati hai ye jayee beta
Sunke maadar ki sada khouldiye deeda e nam
Haath uthaa ke kaha rona mere sar ki kasam
Paas aakar humme chhaati se lagaalo is dam
Ran se aaye hai tumhari hi mulaaqaat ko hum
Phir ye ghar aab ke ik baar se dekha humne
Phir tumhe aake ajab haal se dekha hum ne
E mere sher tujhe lutfe jawani na mila
Chain pardais mai e yusuf e saani na mila
Katra e aab baajuz ashqf shaani na mila
Dood pi pi ke palle aur tumhe paani na mila
Tum gaye mujh ko dulhan bhi na dikhayee beta
Khaaq mai milgayee amma ki kamayee beta
roke bibi se ye farmane lage sarware deen
sar na peeto abhi zindan hai mera maahe jabeen
Saas aati hai ye dam hai dam e Baz Paseeñ
Kooch inka bhi hai aur hum bhi hain jaane ke qareeñ
sab chute ab na raha koi hamara bibi
is jawan bete ke gham ne hame maara bibi