Shahzaday Aun & Muhammad asws
Ma Humse Razi Rehna
Laashe jab Aun o Muhammad ke utha laae Hussain
Poocha Bibi ne Shabbir se karte huwe bain
Mere bacho ne wasiyat bhi koi ki bheya
Ro ke Bibi se ye kehne lage us wakht Hussain
Thi yehi aun o muhammad ki wasiyat behna
Akhri hijki mai kehte te ke amma se ye kehna
Ma hum se raazi rehna
Thi yehi aun o muhammad ki wasiyat behna
Dard seene mai jo uthta hai teherta bhi nahi
Khoon aankho se jo behta hai wo rukta bhi nahi
Aap ki hum ne wasiyat na bhulaayi amma
Pani peena tou kuja pani ko dekha bhi nahi
Zakhm itne hai ke mushkil huwa ab dard ko sehna
Amma nana ne duaae di humme barh barh kar
Aur dada ne kaha jeete raho jaan-o-jigar
Kitni raahat mili hum kaise bataae amma
Wakht e akhir jo liya mamu ne agoush mai sar
Unki agoush mai ye mout lagi phoolo ka gehna
Amma hum sadqa hai akbar ka humme mat rona
Koi sadqe ke liye aanso bahaata hai kya
Bheya Akbar ki barri dhoom se shaadi karna
Hum rahe na rahe jeeta rahe Akbar tera
Tere shahzaado ne hai mout ka sehra pehna
Amma aap lout ke jis wakht watan jaaengi
Khali hujro mai waha hum ko nahi paaengi
Aapko baba ki kasam sabr waha par karna
Hum ko maaloom hai us wakht tarrapjaaengi
Yaad aajaega jis wakht humara kehna