Shahzada Ali Asghar asws
Maa nay Asghar ko jo
jhulay may na paya ho ga
Raat bhar chain usay (x2)
Kis terha aaya ho ga
1) Maa yehi soch kai
roti thi lahu kai anso
Sheh nai kis terha kiya hoga
zara khoon sai wuzu
Teer Jab Asghare (x2)
baisheer na khaya ho ga
2) Kuch jalee lakriyan
jhulay ki utha laye thi
Madar jab chut kai
zindaan sai ghar aayi thi
Haal Asgher Ka yun (x2)
Dukhya ko sunaya ho ga
3) Zindagi bhar kabhi
sayai main na bethi madar
Kehti thi dhoop main
sota hai mera noor-e-nazar
Meri to qabar pai bhi (x2)
dhoop ka saya ho ga
4) Poochti rehti thi
har aik sai maa Asghar ki
Muj ko batlao bani
qabar kahan Asghar ki
Uski turbat pai diya (x2)
kisnai jalaya ho ga