Mola Abbas asws
Mai kya bataao kya hai ye alam, Sakhi Abbas ka (na poochiye)
Hai jiski taigh pe kharra
Wo arsh jis pe hai Khuda
Khuda ka asira hai ye alam
Alam ke saath saath hai
Khuda ka hi wo haath hai
Jhuka sake jaha isse
Kisi ki kya ouqaat hai
Hussain ki ata hai ye
Rasool ki dua hai ye
Gharro pe jo laga hai ye alam
Alam ye jo lagaaega
Jaza ajeeb paaega
Nasab jaha alam huwa
Maqaan bhi khuld jaae ga
Alam barra ye khaas hai
Liye kharra Abbas hai
Shifa e kibriya hai ye alam
Nabi ke haath se Ali
Alam Khuda ka paagaya
Alam ke sung wo haath bhi
Ghadeer mai dekhagaya
Wo haath ab bhi hai booland
Khuda ko hai barra pasand
Nishan e Murtaza hai ye alam
Wafaao ka Hussain se
Kya khoob hai sila mila
Jaloos mai ye zuljana
Ke paish paish hai chala
Hai aaj bhi waqar mai
Alam ke hi hisaar mai
Juloos ki baqa hai ye alam
Wafa ki aas hai alam
Ye khaaso khaas hai alam
Bibi ki rida se mas
Huwa Abbas ka alam
Hijab e kibriya bana
Ye Kabay ki rida bana
Khuda ka dil ruba hai ye alam