Aqd e Syeda asws
Marhaba marhaba marhaba marhaba
Hai ye shaadi Ali o Syeda ki
Aasmaan par hai farishton ke labon par sehra
Sar pe Haider ke sajaatay hain Payambar sehra
Surah-e-Noor ne chehre ki balaaen leen hain
Aa ke khud parhne laga surah-e-Kousar sehra
Khushbu-e-baagh-e-jinaan batne lagi hai har soo
Khuld se laaey hain Jibreel zameen par sehra
Lailatul Qadr ki rif'at talak aanay ke liye
Ban gaya surah-e-wa-shams ka mazhar sehra
Farq-e-Haider pe jo dekha to ye mehsoos hoowa
Saaray aalam mein hai ab sub se qad-aavar sehra
Husn-e-Yusuf bhi basad raskh tujhe dekhta hai
Teri zeenat jo bana chehra-e-Haider sehra
Us ne dar ka liya sar ka liya bosa is ne
Apni qismat mein hai Zohra ke baraabar sehra
Detay rehte thay Muhammad ko jo deen ke dushman
Tu ne baatil kiya wo taana-e-abtar sehra
Kousar-o-saaqi-e-kousar ko milaaya is ne
Bhar gaya pal mein hee taqdeer ka saaghar sehra
Jin ke ajdaad jala karte thay is sehre se
Sirf guzrega garaan aaj unhi par sehra
Karbala is ka samar hai so kiya Khaaliq ne
Deen-e-Ahmad ko bachaanay pe muqarrar sehra
Yaad-e-Akbar mein sunaaoonga main noha Meesam
Jis ghari hoga saja khud mere sar par sehra