Category

Qasida / Salam

Author

Bibi Masooma binte Hussain asws

Date

July 27, 2022

Midhat hai kaha aap ki asaan Masooma

Bibi Masooma binte Hussain asws

Midhat hai kaha aap ki asaan Masooma

Kaisey mai likhu doosra quraan Masooma

  

1) Shabbir ke honto pey hai bibi Aapki midhat (2)

Yaa labb pey hai quraan ke quraan Masooma


3) quraan e tahaarat main hai aap soora e kausar (2)

Is par hai mukammal mera eemaan Masooma


5) Shabbir ye kehtey hai ke aap jismey nahi hai (2)

Ghar aisa nazar aata hai weeraan Masooma


4) parcham to bohat aur bhi dunya mey hai lekin (2)

Hai parcham e Abbas ki pehchaan Masooma


2) ek samt hai Shabbir to ek samt hai Abbas (2)

Gehwaarey ki terey hai ajab shaan Masooma


6) us shaksh ka rutbaa koi Abbas se poochey (2)

Jo hai terey darbaar ki darbaan Masooma


7) jab shaam ke darbaar mey hotii hai azaaney (2)

Hotaa hai terii jeet ka ealaan Masooma


8) is qwaab kii taabeer dikhaadey mujhey bibi (2)

Mai phir se huwa ho tera mehmaa'n Masooma


9) dil mey hai merey eak Hi armaan Masooma (2)

Nikley aapke rauzey pey merii jaan Masooma


10) sab Kuch mai lutaa deta hoon Shabbir pey phir bhi (2)

Honey nahi deti mera nuqsaan Masooma


11) ash'har ney kahaa badhgayi tauqeer terii aur (2)

Beti ka rakhaa naam jo FARHAN Masooma

No items found.