Bibi Ummul Baneen asws
Mulq e wafa ko naaz hai Ummul Baneen par
Khaq e shifa ko naaz hai Ummul Baneen par
Kul Karbala ko Naaz hai Ummul Baneen par
Hadh hai Khuda ko naaz hai Ummul Baneen par
Ummul Baneen malka e azmo sabaat hai
Mushkil kusha Ali ke shareeqe hayaat hai (2)
Is ghar mai bheek lene farishte bhi aae hai
Chouhkat pe chand taare jabeene jhukaae hai
Aakar bahisht waalo ne jhule jhulaae hai
Bachou ne roti bhej ke soore mangaae hai
Binte Nabi jaha pe dulhan banke aayi hai
Ummul Baneen bhi waha tashreef laayi hai
Hai aur bibiyo ki bhi quran mai misaal
Jo hou saki na apne hi shouhar ki humkhayal
Qudrat ko na pasand rahi jinki chaal dhaal
Ghar mai Nabi ke bunti rahi saazisho ke jaal
Saabit huwa ke ghar mai chali aana aur hai
Ismat ke rang dhang mai dhaljaana aur hai
Ummul Baneen ne paya hai ghar ahle bayt ka
Hai inke saat saat safar ahle bayt ka
Inki duwaao mai hai asar ahle bayt ka
Wajhhe sharaf hai choomna dar ahle bayt ka
Dehleez e Syeda hai aur inki jabeen hai
Ha ye ammal bhi seerate Ummul Baneen hai
Ummul Baneen Karbobala ki Ameen hain
Syeda ki Aarzoo hain Ali ka Yaqeen hain
Mazhab Bahadari ka Shujaat ka Deen hain
Bus itna hee bohat hai ye unmul baneen hai
Shehray Wafa Mai Aj bhee Inn kay Ujalay hain
Mola Ali kay Chaar Ali Jiss nay Palay hain
Beti yay Shair ki Hain Tou Shouhar bhee Shair hay
Binte Asad kay Saaiy mai Taywar bhee Shair hay
Maalik bhee Ghar ka Shair hay Nokar bhee Shair hay
Jis ko Paal dain Wou Ghazanfar bhee Shair hay
Inn ka Pisar Taraee ko Maskan banaay Ga
Har Haal main Furaat ko Pani Pilaaay Ga
Syeda ki Hasratoo ka Qamar kon Inn ka Laal
Haybat main Murtaza ka badal kon Inn ka Laal
Naqsh o Nigaar ay Lohh o Azal kon Inn ka Laal
Dunyaa kay har Sawal ka Hal kon Inn ka Laal
Parsham Khula huwaa hay Wafa kay Jalaal ka
Hay Taziyay say Aagay Alam Inn kay Laal ka
Kirdar kay Kamaal ka Abbas Naam hay
Haider kay Jalaal ka Abbas Naam hay
Shabbeer ki Dhaal ka Abbas Naam hay
Ummul Banee kay Laal ka Abbas Naam hay
Panjja Jo ZouFagan hay Alam pay Yaqeen ka
Suraj Chamak raha hay yay Ummul Baneen ka
Ay Zindagi Hayat ka Unwaan Maang lay
Juz Daan-ay Fikr kay leeyay Quran Maang lay
Nayyar Zubanay Meesam o Salman Maang lay
Jo kuch bhee Maangna hay Musalman Maang lay
Naad-ay Ali ki Tarah Zamanay ko Yaad hay
Ummul Baneen Madaray Babul Muraad hain