Ghadeer
Na poochiye ke kya Ghadeer hai
Jaha pe deen deen huwa
Ghadeer wo maqaam hai
Khuda ke deen ka Ali
Yaha bana Imam hai
Ghadeer hi hayaat
Ghadeer hi nijaat hai
Ke haq ka raasita Ghadeer hai
Nabi ke haath par buland
Hai is tarha mera Ali
Ali dikhe jo arsh par
Malaaika ki saf chali
Milo galle e momino
Khushi manaao momino
Khushi ka tarjuma Ghadeer hai
Wilayate Ali wali
Ko jis ne kardiya mana
Rivayate bhi hai gava
Wo lanati huwa fana
Ali ke naam par jala
Wo seeda nargh mai chala
Bataya Rab ne kya Ghadeer hai
Bataao kya e dosto
Tumhe ke kya Ghadeer hai
Halaaliyo ki Eid hai
Ali banay ameer hai
Ghadeer bay misaal hai
Ghadeer bakamaal hai
Ke sucha waqiya Ghadeer hai
Ali ke naam se jisse
Ajal numa bukhaar hai
Wahi mera shikar hai
Ussi pe beshumar hai
Hai kuch teri amaanate
Hai sheikh tujh pe lanate
Ke mere dil ki jaan Ghadeer hai
Ghadeer hou ya Karbala
Raza wahi se sab mila
Khuda mila Nabi mila
Yahi se tou Ali mila
Sukoon o chen milgaya
Mujhe Hussain milgaya
Ata ki nenava Ghadeer hai