Mola Hussain asws
Na pooch ye ke kya Hussain Hai
Khuda ke deen ka na Khuda (2)
Har Ibtada Ki Ibtada
Karam Ki Inteha Hussain Hai
Karey jo koi hum saree
Kisi ki kya majaal hai
Jahaan mai har lehaaz se
Hussain bai missal hai
Yeh ho chuka hai fesila
Na koi doosra Khuda
Na koi doosra Hussain hai
Karoge gar mukhalifat
Gham e Hussain ki yahaan
Wo hashar hoga hashar mai
Ke al-hafeez o al-amaa
Jahaan bhi chupne jaao ge
Kahi bhi bachna paao ge
Keh har jaga mera Hussain hai
Hai jiski fikar Karbala
Hussain wo pegham hai
Yeh Panjtan ki anjuman
Ka paanchwaa chirag hai
Hassan ka pehla humsafar
Ali ka doosra pisar
Imaam teesra Hussain hai
Hussain se jo door hai
Wo sab ghamon se choor hai
Hussain ke jo paas hai
Gham e jahan se door hai
Yeh deen jiski dairn hai
Jo zindagi ka chain hai
Wo sucha qaafiya Hussain hai
Kisi ko hosla diya
Kisi ko bakhsh di sehar
Diye kisi ko baal o par
Kisi ko de diye pisar
Pukaar banda parwaree (2)
Lughat mai ehl e ishq ki
Madad ka tarjuma Hussain hai
Qaza Key Baad Phir mUjhey Naii Hyaat Mil Gaii
Fishaar Sey Azaab Sey mUjhey Nijaat Mill Gaii
Sawaal Jab Kiya Gya hAi kOn Tera RahnUma
tO maiN Ney Keh Diya HUSSAIN
wO Jis Ney Baandh Kar Hawa Jalla Diya bUjha Diya
ZameeN kO Jis Ney Arsh Sey bUland Martaba Diya
wO Jis Ney Kaaiyenaat Ka Nizaam Hii Badal Diya
iK Aisa mOujza HUSSAIN
Shaheed e KARBALA Ka Gham Jisey Bhi Na-Gawar hAi
wO Bad Amal hAi Bad Naseeb Usii Pey Be-Shumaar hAi
Arey O dUshman e Azza tOo Mar Zara lehad meiN Ja
Pata Chaley Ga Kya HUSSAIN