Bibi Masooma binte Hussain asws
Naam hai mera Masooma mai hu binte Shabbir
Naam hai mera Masooma mai hu binte Shabbir
Qalum-ay noor se likhi gaee meri taqdeer
Mere baba ki zamaane mai nahee koi nazeer
Wo hai Quran-ay mubeen aur mai unki tafseer
Fakhar is baat pe hai bar sare seena mai hou
Sabar e sarwar ki anghuti ka nageena mai hou
Mere baba hai Hussain Aur hai dada Haider
Dadi Syeda hai tou dada hai shafi e mehshar
Bhai Sajjad hai Akbar bhi hai aur hai Asghar
Aik hi Abbas tou hai doosre amo Shabbar
Karbala meri Najaf mera Madina mera
Mukhtassar ye hai k hai naam Masooma mera
Faazila mai hou fazail bhi fazeelat mai hou
Hoon mai akram bhi kareema bhi karaamat mai hou
Shahe konain ke bete ki zaroorat mai hou
Parh ziyaarat meri Shabbir ki baz-att mai hou
Mai bhi bighri huwi taqdeer banasakti hou
Apni thoukar se mai murde ko jeela sakti hou
Zulmo ko sabr ki tasveer dikhane ke liye
Nehr se fouj sitamgar ki bhagaane ke liye
Umar e Saad ki auqaat bataane ke liye
Soora e azm se ik harf e jali laayee hou
Saath Abbas nahi Nade Ali layee hou
E musibat ke giraftaar pareshaan na hou
Khaaq hojaayenge sab khaar pareshaan na hou
Honge sab raste humwaar pareshaan na hou
Mere baba ke azaadar pareshaan na hou
Behre imdaad tere paas challe aaenge
De mera waasta Abbas challe aaenge
Farsh e majlis meri khwaahish hai bhichaaye rakhna
Apni palko pe sadaa ashk sajaae rakhna
Taziya sar pe alam dil se lagaaye rakhna
Apni palko pe sadaa ashk sajaae rakhna
Koun kehta hai k baatil hai tumhaare aanso
Khuld mai rakhne k qaabil hai tumhaare aanso
Koi kehte mera bhai Ali Asghar roya
Hurmula roya teri fouj ka afsar roya
Teer bhi roya hai talvaar bhi khanjar roya
Zikre aik dou ka nahi sara hi lashkar roya
Aik tabassum se teri fouj ko vo maar gaya
Jang cheh maha ke besheer se tu haar gaya