Bibi Syeda asws
Pehlu Bhi Shikasta Hai,
Turbat Bhi Shikasta Hai
Kya Haal Yeh Ummat Ne,
Syeda Ka Banaaya Hai
1. Khatoon Koi Gham Se
Yu Chur Nahi Dekhi,
Aisi Koi Duniya Mai,
Mastoor Nahi Dekhi,
Athhaara Baras Mai hi,
Lagti Jo Zaeefa Hai
2. Darbaar Mai Zaalim Ne,
Kee Aisi Pazeeraaee,
Kis Tarha Se Tu Bibi,
Phir Laut Ke Ghar Aayi,
Baalon Ki Safedi Ne,
Sab Haal Sunaaya Hai
3. Haibat se laraz thi hai
Khud maut jaha akar
Karte te salam aksar
Sarkar jahan aakar
Zalim na jala isko
Ye dar dar-e-Syeda hai
4.Hairat hai musalmane
Ye zulm kiya kese
Ye ajr risalat ka
Ummat ne diya kese
Jalta huwa Bibi pe
Darwaza giraya hai
7. Do Aise Janaaze Hai,
Taarikh Mai Jo Utthe,
Bas Ghar Ke Hii Logo Ne,
Dono Ko Diye Kaandhe,
Ik Binte Mohammed Hai,
Ik Baali Masooma Hai
5. Marham Tere Zakhmon Ka,
Bibi Na Milaa Ab Tak
Aulaade Umayya Ki,
Baaqi Hai Jafaa Ab Tak,
Rone Pe Bhi Pehra Tha,
Turbat Pe Bhi Pehra Hai
6.Haadi Se Koi Puchhe,
Kya Un Pe Guzarti Hai,
Awaaz Baqayya Se,
Jab Rone Ki Aati Hai,
Aankhon Se Lahu Rokar,
Woh Bhi Yehi Kehta Hai