Bibi Malka e Habash asws
Pyaari Amma Bataade Mujh Ko
Patthar Kyu Arahe Hain
Kaisa Hai Ye Chiraghaa
Dil Doobe Ja Rahe Hain
Kya Shaam Aagaya Hai
Hain Loag Kiss Tarha Kay
Hum Say Dua Karaaiyn
E Qaidiyoun Dua Do
Yay Din Na Hum Pay Aaaiyn
Lay Kar Duaaiyn Hum Say
Dill Bhee Dukha Rahain Hain
Maaou’n Ki Goudiyoun Say
Liptaiy Huwe Hain Bache
Hain Haath Rassiyoun Mai
Maaou’n Say Ese Jakrre
Bache Jo Girr Rahe Hain
Wou Martaiy Ja Rahe Hain
Houne Lagi Azanai’n
Kaisay Saroo’n Ko Dhanpe
Bazu Bandhe huwe Hain
Khoo’n Rou Rahee Hain Aankhain
Aankhoo’n Kay Khoo’n Say Raste
Khoo’n Mai Nahaa Rahe Hain
Kyu Qafla Ruka Hai
Bajte Hain Shaad Yaane
Lehraa Rahe Hain Aadaa
Khush Ho Kay Taaz Yaane
Kyu Jashn Ka Samaa Hai
Sab Muskara Rahe Hain
Karne Laga Talawat
Neze Pay ibn-e-Haider
Namoos-e-Mustafa Kay
Sar Pay Nahee Hai Chaadar
Nazroou’n Ko Ashqiyaa Ki
Sarwar Hatta Rahe Hain
Naizoou’n Pay Jitne Sar Hain
Aik Sar Hai Unn Mai Esa
Aankhain Hain Band Uss Ki
Aur Khaak Par Hai Girtaa
Abbas Ka Yay Sar Hai
Taiywar Bataa Rahe Hain
Itna Chalay Hain Paidal
Kaantto Pay Saare Qaidi
Thak Jaati Chalte Chalte
Chalti Agar Zamee’n Bhee
Paoun Kay Aable Bhee
Rou Kar Bata Rahe Hain
Neze Pay Rou Raha Hai
Mushkil Kusha Ka Beta
Namehramoou’n Kay Labb Par
Aaya Hai Naam Maira
Mujh Ko Kaneez Zaade
Youn Bhee Rulaa Rahe Hain
Wou Fazl Houn Kay Baqir
Abid Ki Bairriyoun Par
Karne Ko Sardd Bairri
Chullou Mai Paani Bhar Kar
Wou Jalti Bairriyoun Par
Paani Baha Rahe Hain
Rehan Qaidiyoun Mai
Barpaa Tha Shour-e-Girya
Palkoun Say Kar Rahee Thee’n
Matam Jo Bint-e-Syeda
Sajjad Noha Khaa’n Hain
Noha Suna Rahaiy Hain