Shazada Qasim asws
Qasim jo gire ghorre se tha maut ka pehra
Tha khoon me duba hua wo chaand sa chehra
Chalni tha badan teeron se har zakhm tha gehra
Khoon sar se baha ban gaya ek larriyon ka sehra
Is tarha larazta hua laasha nahi dekha
Is shaan ka koi kabhi dulha nahi dekha
Har jorr tha toota hua har band juda tha
Bazu hai ye wo jis pe ke taweez bandha tha
Kuchla hua seena tha lahu sar se baha tha
Is phool se bacche pe ajab zulm hua tha
Ye wazn tha taapon ka wahi toot gayi thi
Sab pasliyaan seene me kahin toot gayin thi
Maidaan me madad k liye bulaate thay qasim
Jaate the idhar aur udhar aate thay qasim
Dam attka tha aur chain nahi paate thay qasim
Lagti thi jo taapaiñ to tarrap jaate thay qasim
Ghorre se kuchal jane ki zehmat na dikhaye
Allah kisi ko ye musibat na dikhaye
Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoond rahe hain
Maidaan me wo laasha hai kahan dhoond rahe hain
Aankho me andhera hai magar dhoond rahe hain
Phir bhai ka har lakhte jigar dhoond rahe hain
Tevaraake wahin girte hain ghush aata hai sheh ko
Jab jism ka tukrra koi mil jata hai sheh ko
Shabbir ne jisko Kabhi goudi me sulaaya
Haathon ko bhi chuma kabhi seene se lagaya
Taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhaya
Laasha usi bacche ka hai chaadar me uthaya
Thaame huwe khoon e hasan e khasta jigar hai
Aaza ki ye gutherri nahi madar ka pisar hai
Seh lete hain kuch dard bataaya nahi jaata
Laasha kabhi hisso me uthaaya nahi jaata
‘Gar shah rida apni bichhaye nahi jaate
Tukrre Kabhi qasim k uthaaye nahi jaate
Chaadar ko jo thaame huwe Abbas kharre hain
Akbar bhi sahaare k liye paas kharre hain
Kya haal tha laashe ka bataya nahi jaata
Shabbir se sadma ye uthaya nahi jata
Gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jata
Khaime ki taraf chalte hai jaya nahi jaata
Is gham ka kahan bhaar utha paayengi madar
Jab laashe pisar dekhengi na reh paengi madar
Dil apna sambhala Kabhi chaadar ko sambhala
Khaime ki taraf barrhne lage syed e waala
Taarik hua jata tha aankhon ka ujala
Chaadar me bandhi laash ko jab saamne dala
Madar ne ye poocha k kahan laal mera hai
dil hilta hai batlaiye is gutherri me kya hai
Guttherri jo khuli hashr bapa hogaya harsoo
Tukrre tha badan laash ka aur khoon bhare gesu
Taapo ke nishaan seene me aur aankho me aansu
kehne laga aahista se Syeda ka wo mehroo
Ye dekhiye jo ik tann e sadh paash hai bhaabi
Pehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabi