Chehlum
sadaat-e-kerbala (2)
chehlum ko kerbala mein jab aayin wo bibiyaan
Har bibi kar rahi thi
Kuch is tarha se girya
Bibi is zameen par
Uthari tou ye kahan
Sajjad kuch suna
Maqtal hai ye Hussain ka
Amma ki hai sada
Abid tarupke bole
Phuphi aap par fida
Such aap ne kaha
Baba shaheed hounge
Jaha hai yehi jaga
kuch bibiyaan yahan hain,
Kuch bibiyaan wahan
Karti rahi fughaan
bikhri hui thi maqtal-e-
Sarwar mein ja baja
Akbar ki qabr per yun
Hui bibi nohagar
dekha na saal bhar
aayi hun qaid-e-shaam se
Ab hou ke main riha
Asghar ki maa yeh kehti thi
E mere be-zabaan
maa dhoonde ab kahan
batla de hai kahan mera
Asghar e kerbala
Qurban tere e mere
Maa jaye be watan
Mazloom thi behan
zindaan mein mujh se teri
Amanat hui juda
ik bibi dasht-e-khooni mein
Jaati hai nehar per
kehti bachashm-e-tar
abbas dene aayi hun
Pursa Masooma ka
ghut ghut ke laadli teri
Zindaan mein Reh gayi
turbat Wahin bani
bhayya wo qaid se na
Hui jhurn ke bhi riha