Bibi Ummul Masaib asws
Sajjad jab dubaara aseer e jaffa huwe
Zanjeer Aur Touq mai Phir mubtila huwe
Roohey Rasool-E Paak Ko sadme Siwaa huwe
Dard-O-Alam Rasool Ko La Intehaa Huwe
Ghul Tha Kay Phir Madine Ki Basti Ujarrti Hai
Gardan Mai Touq Paa’on Mai Zanjeer Parrti Hai
Roye Phupi Ko Dekh Kay Abid BaHaal e Zaar
Itney Mai Hukm Paakay Chali Fouj-E Naabakaar
Aage Tou Qaid Jaate Thay Sajjad-E Naamdaar
Thaa Unke Peechey Naaqa-E Bibi Jigarfigaar
Uttha Tha Dil Mai Dard Qadam Thar Tharaate Thay
Mahmal Ko Dekh Dekh Ke Aansu Bahaate Thay
Jab Sab Isi Tarhaa Se Huween Manzil-E Tamaam
Sehra Milaa Tab Ek Qareeb-E Deyaare Shaam
Din Chupp Gaya Namood Huwi Shaam e Teerafaam
Us Din Rayees-E Shaam Ne Sab Se Kiye Kalaam
Uttro Yaheen Ke Raahat-E Aab-O Ta’aam Ho
Behtar Yeh Hai Kay Shab Ko Isi Ja Muqaam Ho
Faarigh huwi Dua se Jo Bibi Ba Chashme Tarr
Umma Ko Tabh Bulaa Ke Ye Boli Woh Nauhagar
Yahaa se Bahut Qareeb Hai Sunti Hoon Woh Shajar
Khouli Ney Jis Darakht Mai Baandha Tha Sheh Ka Sar
Ley Chal Wahaan Pey Syeda tahira Ki Jaayi Ko
Rowungi Us Darakht ke Neeche mai Bhaai Ko
Royi Bayaan Kar Ke Jo Bibi baHaaley Zaar
Maabayn-E Dasht-E Haaye Hussaina Ki Thi Pukaar
Ek Baagh Tha Wahaan ke har Ek Gul Tha Jiska Naar
Tha Mohtemim Wahaan Ka Tameem-E Sitam shuaar
Zulmat Ayaan Thi Kufr Ki Us Badh Khisaal Sey
Rakhta Tha Bugz Dil mai Mohammed Ki Aal Se
Poocha ye usne Aakay Qareeb-E Sipaahey Shar
Bibi Yeh Kaunsi Hai Jo roti Hai Is Qadar
Bola koi Shaqi Ke Tujhe Kya Nahin Khabar
Bibi Yehi Hai Aashiq-E Sultan-E Behrobar
Muddath Sey Sougwaar e Shahey Tashnakaam Hai
Yeh khwaahar e Hussain Alay his-Salaam Hai
Sunna Tha Yeh Ke Ghez Mai Ayaa Woh Badh Zubaan
Pahuncha Qareeb-E Dukhtar-E Khatoon-E Ins o Jaan
Tha Aahni Jo Haath Mai Ek Bailchaa Giraan
Maara Shaqi Ney Farq Pe Bibi ke Naagahaan
Ghash Aagaya Zameen Pe Tharraa ke Gir Parri
Sar Par Lagi Woh Zarb Kay Tewaraa ke Gir Parri
E sar gharroh e aale aba wa museebataa
Sar par urraao khaaq e aza wa museebataa
Taazaa sitam ye aur huwa wa museebataa
Bibi ne ki jahaan se qaza wa museebataa
Jannat mai sougwaare shahe behrobar gayi
Jald aayiye ke bibi e dilgeer guzargayi