Mola Hussain asws
Shabbir akele hai
Kamar toot chuki hai
Aur laash jawan saal ki
Maqtal mai pari hai
Nezou se zameen zalimo
Kyu koud rahe hou (2)
Kya tum ko zaroorat Ali
Asghar ki pari hai
Shabbir se ab zeen pe
Sambhalaa nahi jaata
Ye haal hai aur aakhiri
Sajde ki gharri hai
Kehte hai musalmaano ke
Maaro isse maaro
Koi na raha jiska
Wo shabbir yehi hai
Shah jaate hai asghar ka
Lahu rukh? Pe lagaakar
Aur maadar e asghar dar e
Khaima pe kharri hai
Dil thaam ke kyu baith
Gayi maadar e akbar
Kya nouk sina maa ke
Kaleje mai lagi hai
E qaasid e dukhiya tujhe
Hasrat hee rahegi
Shabbir ne akbar ki
Abhi laash rakhi hai