Mubahila
Such waloon ki yay jeet hay Eid-ay Mubahila
Tauheed k mizaj ka mazhar Mubahila
Haqqaaniyat ki Jeet ka manzar Mubahila
Har BaaZameer Fard ke andar Mubahila
Hota hay sirf Such ka muqaddar Mubahila
Jaisay Khuda ka Sura-ay Ikhlaas hogaya
Yay Lafz Punjtan ke liye Khaas hogaya
Iss karwaan-ay Khair mai Aagay Chalay Rasool
Peechay theen Muumkinaat ki ik Maalika Batool
Khair-un-Nisa ka baad Ali Noor Ba-Usool
Sarwar ke paak Haath mai Issmat ka Paak Phool
Lipta huwa Nabi say Nabuwat ka Zain tha
Seenay mai dil tha Dil mai Dharrakta Hussain tha
Jaaye Mubahila pay jo Pohuncha yay Karwaa
Issmat Maa’Aab deen ka Masoom Pasbaa
Daikha jahaan waloon nay Islam ka Jahaa
Phaili Khuda ke noor ki kirnay yahaa Wahaa
Abdul Masee ye daikh ke Hairaan hogaya
Islam ke baghair Musalmaan hogaya
Phir Paadari nay Qoum say Foran kiya Khitaab
Iss Karwaan e Haq ki Anokhi hay Aab Taab
Chahay agar tou Kaattle Nakhun say Aaftaab
In ki Dua Sawaab hay aur BadDua Azaab
Khat murRasul ka sara Qabeela hi Noor hay
Apno ko leke aaya hay Sucha zaroor hay
Hum par malaal karna Tabeeyat Malool kar
Takleef di Janaab ko Okaat bhool kar
Ehsaan hum pay kon-o-Makaa ke Rasool kar
Ghustakhiyaa Bhi Bakhsh day Jazziya Qabool kar
Aurat ho Mard, Ghar ho ke maidaan Aab ho
Tum say Wahee larenge jo Nasl-ay Haraam ho