Bibi Syeda asws
Syeda ka bharre Madine mai
Ghum battane koi nahi aya
Ghar jalane ko kalmago aae
Dar bujhane koi nahi aya
Kya wo Islam ka hi murkiz tha
Ya madina tha wo muhammad ka (2)
Lag rahe te jaha pe Syeda ke (2)
Taziya ne koi nahi aya
Rasiya thi Ali ki gardan mai
Aur bazaar se guzarte te (2)
Sab tamashaaye banke takte rahe (2)
Par chhoorane koi nahi kaha
Khud hi chun ne lagi Nabi zaadi
Bikhre tehreer apne baba ki (2)
Mustafa ki sanad ke tukro ko (2)
Jab uthaane koi nahi aya
Har sitam syeda pe dhaya gaya
Jalta darwaza bhi giraya gaya (2)
Apne Haider ko di sada us dam (2)
Jab bachane koi nahi aya
Ghar jala kutl hougaye Mohsin
Pasliya Syeda ki toot gayee (2)
Phir bhi kehte hou tum ke bibi par (2)
Zulm dhaane koi nahi aya
Aatth shawal ko hui akbar phir shahadat nabi ki beti ki
Gir raha tha mazaar bibi ka per bachanay koi nahi aya