Bibi Syeda asws
Teri beti pe musibat ki ghari Hai
Hy baba
Kaise Darwaza Hatau, Kaise Mohsin (as) Ko Bachaun
Saans Seene Me Ruki Hai
Hath Me Jiske Mera Hath Diya Tha Tumne
Kehke Mankunto Jise Maula Kaha Tha Tumne
Maine Har Mor Pe Baba Sath Uska Hai Nibhaya
Haan Mera Juram Yahi Hai.....
Teri Ummat Ne Bana Di Hai Yeh Haalath Baba
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamat Baba
Saans Leti Hum Main Jis Dam, Ghut Ne Lagta Hai Mera Dam
Mujhpe zulamat Ki ghari Hai.....
Kabhi Darbar Me Peshi Ko Bulate Hai Humain
Kabhi Darwaze Pe Aa Aake Satate Hai Humain
Mere Yeh Phool Se Bache Pooch Te Hai Yehi Mujhse
Kya Khata Ham Se Hui Hai.....
Mere Baba mai bhala tum ko Bataun Kaise
Yeh Tamachon Ke Nisha Tum Ko Dikha Un Kaise
Tum Na Pehchan Sakon Ge Dekh Kar Mujhko Kahon Ge
Kya Meri beti (sa) Yehi Hai.....
Yeh Aziat Yeh Khamoshi Nahi Dekhi Jaati
Mujhse Tanahi Ali (as) Ki Nahi Dekhi Jati
Tera Paigham Suna Ne, Haq Wilayat Ka Batane
Beti (sa) Ghar Ghar mai Gai Hai.....
Aap Ke Sog Me Tarikh Na Dekha Gaya Ghar
Aag Darwaze Pe Ummat Ne Laga Di Aakar
Baba Jaan Baad Tumhare Dekhiye Ghar Me Hamare
Raushni Kaise Hui Hai.....
Kabre Syeda (sa) Se Takalum Yeh Sada Aati Hai
Kitni Sadion Se Mere Kabr Pe Veerani Hai
Phool Turbat Pe Charrha Ne Ke Diya Laa Ke Jala Ne
Kya Madine Mai Koi Hai