Imam-e-Jafar-e-Saadiq huwe
Rukhsat zamanay se
Unhi ko Zehr-e-qatil day deeya nasl-e-ummaya nay
Jahan ko ilm ki dolat mili
Jinke khazanay se
Kiya taraj phir Gulshan Muhammad ka Musalmaa nay
Na baaz aay wou pehlu Syeda ka phir dukhanay se
Chatha noori Imamat ka deeya tou nay bhuja daala
Mila kya kalma gou tujh ko bata
Ye zulm dhanay se
Jo ghar abad tha abb tak Ali kay laal Baqir ka
Bana wou ghar azakhana sakhi
Jafar kay janay se
Laeen mansoor abbasi par karo laanat azadaro
Deeya qatil zehr uss nay hay Mola ko bahanay se
Chaleen Jawad Aain ge aza kay farsh per Bibi
Milay ga yay sila tum ko safay matam bichanay se
No items found.