Jo nabi kay liye aaina hain Husn se bhi jo pehlay bana hai
Koi abtar kahay Mustafa ko hai jissarat ye kiss ki zabaa’n mai
Nasl aisi challi iss Nabi ki ab hain saadaat saaray jahan mai
Jiss kay dam se Nabi baap teheray
Nasal e sarwar ki jo ibteda hai
Khush hai makhlooq rab ki tamami
Pehna iss nay jo taj e imami
Syeda ko hai dene salaami
Karne aaye malak hain ghulaami
Kon hai jo ameer e jahan hai
Taj sabz e qaba ka milla hai
Hain jahan mai Imam e Hassan woh
Syeda kay sehan ka chaman woh
Mustafa kay hain rooh e badan woh
aa gaye hain mitaanay mehen woh
Jin ki aamad pe naza’an khuda hai
Aur khush khud shabeeh e khuda hain
Jiss ki seerat Mohammad kay jaisi
Aur soorat mai jo Murtaza hain
Jinko madar milli Syeda sii aur nana milla Mustafa hain
Syeda ka hai pehla sitaara sab ka jo doosra rehnuma hai
Aao masjid mai chal kar tou dekhain
arsh utra huwa ik taraf hai
Parh rahay hain namaze namazi
noor se aik bharpoor saff hai
Nou imamo’n ka Shabbir Mola
jiss shehshaah kay peechay kharra hai
No items found.