Safar to Karbala
Khudaya phir se baba lout kar
Aaye Madine mai
Lagega kistarha se dil mera ujre madine mai
Safar hai door ka
Garmi ka mousam hai Ali Akbar
Bujhaate pyaas rehna hai tumhe baba ki reh reh kar
Bharoongi naam se baba ke mai kooze madine mai
Barre choutte sabhi
Rukhsat huwe jaate hai e baba
Shifa beemare tanhaayi yu hi paathe hai e baba
Maseeha ab mera baki nahi koi madine mai
Chalo acha khuda
Hafiz sidhaaro ab safar ko tum
Jo khat liku tou Akbar ko sunaadena khabar ye tu
Nisha kadmo ke baki hai tere ab tak madine mai
Haram karke safar
Poora jo arze karbala pohunche
Wafa karne ehed Shabbir apni katalga pouhnche
Hawa rukja abhi kehna na kuch ja kar madine mai
Palat ke Karbala
Hokar jo qumbar kafala aya
Liye seene mai koi ghaao koi abala aya
Sada thi chaarsu giriya o matam ki madine mai